jaane vaalā jo kabhī lauT ke aayā hogā
ham ne ik umr kā ġham kaise chhupāyā hogā
kis tavaqqo.a pe koī chāhe vafāoñ kā sila
us ne kuchh soch samajh kar hī bhulāyā hogā
jis se vābasta rahā husn-e-taġhāful terā
tujh ko vo shaḳhs kabhī yaad to aayā hogā
zindagī apnī bahar-hāl guzar jā.egī
tū na hogā tirī dīvār kā saaya hogā