Shauq Bahraichi

manzil hai kaThin kam zad-e-safar malum nahin kya hona hai

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
manzil hai kaThin kam zād-e-safar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
aur lañgDā apāhij hai rahbar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
ḳhā.if na ho kyuuñ har fard bashar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
hai vaqt ke hāthoñ meñ hunter ma.alūm nahīñ kyā honā hai
dekhā hai ye aksar shaam o sahar rah-rau to hai rah-rau ḳhud rahbar
har gaam pe khāte haiñ Thokar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
lafzoñ kā bayāñ dilkash dilkash duniyā-e-amal suunī suunī
schemeñ haiñ gaTThar kā gaTThar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
āzādī ke phal rañgīñ rañgīñ khāne meñ bahut mīThe mīThe
kiiḌe haiñ magar andar andar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
garmi-e-mizāj-e-dost kā ham andāza kareñ to kaise kareñ
bigḌā huā hai thermometer ma.alūm nahīñ kyā honā hai
hairāñ huuñ ki is gardūñ ke tale tanzīm kī gaaḌī kaise chale
pahiye meñ hazāroñ haiñ puncture ma.alūm nahīñ kyā honā hai
maalī to hai kuchh rūThā rūThā aur ahl-e-chaman bigḌe bigḌe
bijlī kī nazar chhappar chhappar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
gesū haiñ pareshāñ bulbul ke aur chaak girebāñ haiñ gul ke
panic meñ hai sabza shaam o sahar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
be-lazzat kaif-o-mastī ke mallāh bhī himmat haare haiñ
ḳhushkī meñ phañsā hai ambassador ma.alūm nahīñ kyā honā hai
hai shaiḳh kī milkiyyat ka.aba mīrās-e-barahman but-ḳhāna
chhā.e hue har-sū haiñ joker ma.alūm nahīñ kyā honā hai
pherī haiñ ahibbā ne āñkheñ badle haiñ aizza ne tevar
hai 'shauq' har ārāzī banjar ma.alūm nahīñ kyā honā hai
Top Urdushayar.com