Shauq Bahraichi

mah-jabinon ki mohabbat ka natija na mila

Shauq Bahraichi

Ayodhya, Uttar pradesh, India

1884-1964
mah-jabīnoñ kī mohabbat kā natīja na milā
murġhiyāñ pālīñ magar ek bhī anDā na milā
husn-e-ḳhud-bīñ na milā husn-e-ḳhud-ārā na milā
jab maiñ sasurāl gayā ek bhī saalā na milā
kis tarah jaatā koī manzil-e-maqsad kī taraf
koī yakka koī tāñgā koī rickshaw na milā
nazar aayā na kahīñ nāseh-e-nādāñ merā
justujū jis kī thī vo miTTī kā babuvā na milā
ab kī nākām rahā qā.id-e-mulk-o-millat
ab kī barbādi-e-aqvām kā Thekā na milā
shaiḳh-sāhib ke talavvun kā fusūñ hai ye bhī
masjidoñ meñ kabhī ik miTTī kā badhnā na milā
ai ġham-e-dost ziyāfat maiñ tirī kyā kartā
ek ḳhurāk se ration hī ziyāda na milā
laakh bāzār-e-mohabbat ke lagā.e phere
be-vaqūfī ke sivā aur koī saudā na milā
kis tarah se koī ta.amīr-e-nasheman kartā
kabhī sutlī na milī aur kabhī seThā na milā
dost kī shīrīñ-bayānī kā mazā kyā kahiye
aisī barfī kabhī aisā kabhī peḌā na milā
rakkhe hī rakkhe huī jins-e-karam sab barbād
ek bhūke ko magar paao bhar aaTā na milā
haath aa.egā na parvāna-e-jannat ai qaum
shaiḳh-sāhib ko agar halvā parāThā na milā
kis tarah se kisī ta.amīr kī hotī takmīl
vaqt par jab kabhī iiñTā kabhī gaarā na milā
aaj shamshīr-e-barhana vo liye phirte haiñ
jin ke ghar meñ kabhī ik baañs kā phaTTā na milā
Top Urdushayar.com