phir sadā-e-mohabbat sunī hai abhī
zaḳhm-e-nau kī sa.ādat milī hai abhī
rābta dil kā dil se hai kaafī mujhe
nuur hī nuur meñ zindagī hai abhī
vaqt badlā hai ham tum to badle nahīñ
vo hī chāhat vahī bebasī hai abhī
ye jabīñ aur kisī dar pe jhuktī hī kyuuñ
us meñ terī mohabbat juḌī hai abhī
kuchh tamannā se baḌh kar bhī paayā magar
aarzū ek sab se baḌī hai abhī
aaj bhī zindagānī meñ jān-e-'safī'
aur sab kuchh hai terī kamī hai abhī