koī nahīñ hamārā pursān-e-hāl ab ke
pahle se bhī shikasta aayā hai saal ab ke
himmat to aa ga.ī thī dukh jhelne kī lekin
aayā hai ġham hī chal ke ik aur chaal ab ke
kī hai bahut ibādat furqat meñ āñsuoñ ne
yazdāñ tū kar le un kā kuchh to ḳhayāl ab ke
bātoñ kī naġhmagī sab aahoñ meñ Dhal ga.ī hai
phailā udāsiyoñ kā kaisā ye jaal ab ke
do laḳht ho gayā hai ye dil nazār apnā
uTThā jo dūriyoñ kā phir se savāl ab ke
barg-o-samar se aarī tanhā shajar ho jaise
jīvan kī hai 'safī'-jī aisī misāl ab ke