jis ko chāhā thā kab milā mujh ko
zindagī se hai ye gila mujh ko
dard yādeñ aur ik shikasta-dil
āshiqī kā hai ye sila mujh ko
aur kisī se bhī rabt rakhne kā
raas aayā na silsila mujh ko
ab to āñkhoñ se jī nahīñ bhartā
ab ke hoñToñ se hī pilā mujh ko
merī qismat meñ qurb kā lamha
gar likhā hai to phir dilā mujh ko
us kī yādoñ kī chāñdnī har shab
baḳhsh detī hai kuchh jilā mujh ko