an-ginat azaab haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
dard be-hisāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
ban chukā hai dil savāl ab kisī ke hijr meñ
is pe lā-javāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
ashk rok rok ab shal hue haiñ hausle
har samay itaab haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
kaash vo mile kahīñ to batā.ūñ maiñ use
kis qadar sarāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
sau charāġh jal bujhe tīrgī na kam huī
mustaqil hijāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
kyā batā.ūñ haal maiñ us ko apne dard kā
vahshatoñ ke baab haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
vo jinheñ ḳhabar nahīñ qalb-e-nā-subūr kī
chār-sū janāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
ek ġham chalā gayā dūsre ne aa liyā
silsile shitāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
rakh-rakhāv meñ sadā rah ke aaj tak yahāñ
hālateñ ḳharāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
zindagī kī dauḌ meñ pichhlī rut ke ḳhvāb sab
ab bhī ham-rikāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ
aaj ye khulā 'safī' jaañ ke aur ġham ka.ī
shāmil-e-nisāb haiñ ratjagoñ ke darmiyāñ