vo lab ki jaise sāġhar-e-sahbā dikhā.ī de
jumbish jo ho to jaam chhalaktā dikhā.ī de
dariyā meñ yuuñ to hote haiñ qatre hī qatre sab
qatra vahī hai jis meñ ki dariyā dikhā.ī de
kyuuñ ā.īna kaheñ use patthar na kyuuñ kaheñ
jis ā.īne meñ aks na us kā dikhā.ī de
us tishna-lab ke niind na TuuTe duā karo
jis tishna-lab ko ḳhvāb meñ dariyā dikhā.ī de
kaisī ajiib shart hai dīdār ke liye
āñkheñ jo band hoñ to vo jalva dikhā.ī de
kyā husn hai jamāl hai kyā rañg-rūp hai
vo bhiiḌ meñ bhī jaa.e to tanhā dikhā.ī de