ye kyā tilism hai maiñ us ko dekh bhī na sakūñ
ki jis ke jalvoñ se dāmān-e-chashm bhar jaa.e
tū mere dil meñ misāl-e-chaman mahaktā hai
maiñ saañs luuñ tirī ḳhushbū bikhar bikhar jaa.e
guzartī shab kī har ik chaap se maiñ Dartā huuñ
na jaane kaun sā lamha udaas kar jaa.e
maiñ aa.ina hī nahīñ aks bhī huuñ lekin tū
vo raushnī hai jo dāman-kashāñ guzar jaa.e
hai ek ḳhvāb mirī ḳhud-fareb āñkhoñ meñ
agar ye ḳhvāb mirī ruuh meñ utar jaa.e