riit par jitne bhī navishte haiñ
apne māhaul ke mujalle haiñ
kaun jaane kahāñ dafīne haiñ
apne to paas sirf naqshe haiñ
sūrateñ chhīn le gayā koī
is baras ā.īne akele haiñ
ḳhvāb, ḳhushbū, ḳhayāl, aur ḳhadshe
ek dīvār sau darīche haiñ
dostī ishq aur vafādārī
saḳht jaañ meñ bhī narm goshe haiñ
paḌh sako to kabhī paḌho un ko
shāḳh-dar-shāḳh bhī sahīfe haiñ
jugnuoñ ke paroñ se likkhe hue
jañgaloñ meñ ka.ī jarīde haiñ