kabhī jañgal kabhī sahrā kabhī dariyā likhkhā
ab kahāñ yaad ki ham ne tujhe kyā kyā likhkhā
shahr bhī likkhā makāñ likkhā mohalla likhā
ham kahāñ ke the magar us ne kahāñ kā likhkhā
din ke māthe pe to sūraj hī likhā thā tū ne
raat kī palkoñ pe kis ne ye añdherā likhkhā
sun liyā hogā havāoñ meñ bikhar jaatā hai
is liye bachche ne kāġhaz pe gharauñdā likhkhā
kyā ḳhabar us ko lage kaisā ki ab ke ham ne
apne ik ḳhat meñ use dost purānā likhkhā
apne afsāne kī shohrat use manzūr na thī
us ne kirdār badal kar mirā qissa likhkhā
ham ne kab sher kahe ham se kahāñ sher hue
marsiya ek faqat apnī sadī kā likhkhā