Sheen Kaaf Nizam

mere andar jo andesha nahin hai

Sheen Kaaf Nizam

1947
mire andar jo andesha nahīñ hai
to kyā merā koī apnā nahīñ hai
koī pattā kahīñ parda nahīñ hai
to kyā ab dasht meñ dariyā nahīñ hai
to kyā ab kuchh bhī dar-parda nahīñ hai
ye jañgal hai to kyuuñ ḳhatra nahīñ hai
kahāñ jaatī haiñ bārish kī duā.eñ
shajar par ek bhī patta nahīñ hai
daraḳhtoñ par sabhī phal haiñ salāmat
parinda kyuuñ koī Thahrā nahīñ hai
khilā hai phuul har gamle meñ lekin
koī chehra tar-o-tāza nahīñ hai
samajhnā hai to dīvāroñ se samjho
hamāre shahr meñ kyā kyā nahīñ hai
Top Urdushayar.com