manziloñ kā nishān kab degā
aah ko āsmān kab degā
azmatoñ kā nishān kab degā
mere haq meñ bayān kab degā
zulm to be-zabān hai lekin
zaḳhm ko tū zabān kab degā
sub.h sajde sameTe soī hai
par añdherā azaan kab degā
in ThiThurte hue ujāloñ ko
dhuup sā sā.ebān kab degā
mauj maahī nigal na jaa.e kahīñ
nuuh sā nigahbān kab degā
mujh ko jañgal diyā hai jiine ko
buz-diloñ ko machān kab degā
bas yahī pūchhnā hai us se 'nizām'
par diye haiñ uḌaan kab degā