Sheen Kaaf Nizam

shaKH meri na ab shajar mera

Sheen Kaaf Nizam

1947
shāḳh merī na ab shajar merā
iḳhtiyār ab hai āñkh-bhar merā
aa.ine meñ to aks hai lekin
maar Dālegā mujh ko Dar merā
kaun jaane kahāñ kahāñ jā.ūñ
ham-safar ab ke hai safar merā
āsmānoñ pe tū rahā ḳhāmosh
ghar gayā tere naam par merā
maiñ ne sajde meñ sar jhukāyā thā
le ga.e sar utaar kar merā
tujh ko sab se judā banā dūñgā
chhīn mat harf kā hunar merā
dasht-o-sahrā ujaaḌ aayā huuñ
DhūñDhtā huuñ kahāñ hai ghar merā
dast-o-bāzū liye zabāñ mat le
āḳhirī par tū mat katar merā
mū-ba-mū kuchh simaT rahā hai 'nizām'
aur charchā hai dar-ba-dar merā
Top Urdushayar.com