kisī ke saath ab saaya nahīñ hai
koī bhī aadmī puurā nahīñ hai
mire andar jo andesha nahīñ hai
to kyā merā koī apnā nahīñ hai
koī patta kahīñ parda nahīñ hai
to kyā ab dasht meñ dariyā nahīñ hai
to kyā ab kuchh bhī dar-parda nahīñ hai
ye jañgal hai to kyuuñ ḳhatra nahīñ hai
kahāñ jaatī haiñ bārish kī duā.eñ
shajar par ek bhī patta nahīñ hai
daraḳhtoñ par sabhī phal haiñ salāmat
parinda kyuuñ koī Thahrā nahīñ hai
khulā hai phuul har gamle meñ lekin
koī chehra tar-o-tāza nahīñ hai
dhuāñ hī hai faqat gaaḌī ke pīchhe
yahāñ kyā ek bhī bachcha nahīñ hai
samajhnā hai to dīvāroñ se samjho
hamāre shahr meñ kyā kyā nahīñ hai