paañv meñ duur kā safar chamke
raat bastī meñ jab khañDar chamke
gar duā hai to phir asar chamke
shāḳh par ek to samar chamke
ek aaseb hai har ik ghar meñ
ek hī chehra dar-ba-dar chamke
zulmatoñ kī zamīn par dekheñ
kis tarah nuur kā nagar chamke
in chamakte hue añdheroñ meñ
ek to harf-e-mo'tabar chamke
raushnī ho to ruuh tak larze
aur añdhere meñ ek Dar chamke
sāhiloñ kī shafīq āñkhoñ meñ
dhuup kapḌe utaar kar chamke