Sheen Kaaf Nizam

aankhon mein raat KHwab ka KHanjar utar gaya

Sheen Kaaf Nizam

1947
āñkhoñ meñ raat ḳhvāb kā ḳhanjar utar gayā
ya.anī sahar se pahle charāġh-e-sahar gayā
is fikr hī meñ apnī to guzrī tamām umr
maiñ us ko thā pasand to kyuuñ chhoḌ kar gayā
aañsū mire to mere hī dāman meñ aa.e the
ākāsh kaise itne sitāroñ se bhar gayā
koī duā kabhī to hamārī qubūl kar
varna kaheñge log duā se asar gayā
niklī hai faal ab ke ajab mere naam kī
sūraj hī vo nahīñ hai jo Dhalne se Dar gayā
pichhle baras havelī hamārī khañDar huī
barsā jo ab ke abr to samjho khañDar gayā
maiñ pūchhtā huuñ tujh ko zarūrat thī kyā 'nizām'
tū kyuuñ charāġh le ke añdhere ke ghar gayā
Top Urdushayar.com