vahī na milne kā ġham aur vahī gilā hogā
maiñ jāntā huuñ mujhe us ne kyā likhā hogā
kivāḌoñ par likhī abjad gavāhī detī hai
vo haft-rañgī kahīñ chaak DhūñDhtā hogā
purāne vaqtoñ kā hai qasr zindagī merī
tumhārā naam bhī is meñ kahīñ likhā hogā
chubhan ye piiTh meñ kaisī hai muḌ ke dekh to le
kahīñ koī tujhe pīchhe se dekhtā hogā
galī ke moḌ se ghar tak añdherā kyuuñ hai 'nizām'
charāġh yaad kā us ne bujhā diyā hogā