Sheen Kaaf Nizam

kya KHabar thi aatishin aab-o-hawa ho jaunga

Sheen Kaaf Nizam

1947
kyā ḳhabar thī ātishīñ āb-o-havā ho jā.ūñgā
ḳhaak o ḳhuuñ kā mustaqil maiñ silsila ho jā.ūñgā
ibtidā huuñ āp-apnī intihā ho jā.ūñgā
bārishoñ kā qurb pā kar phir harā ho jā.ūñgā
jhāḌiyoñ kī uñgliyāñ lapkeñgī gardan kī taraf
pahlī shab ke āḳhirī pal kī duā ho jā.ūñgā
āsmāñ kī samt uTTheñge bagūle aur maiñ
rafta rafta ik maqām-e-gum-shuda ho jā.ūñgā
chilchilātī dhuup meñ apnā sarāpā dekh kar
raat kī tanhā.iyoñ kā vasvasa ho jā.ūñgā
kuchh na kuchh khotā chalā jā.ūñgā ik ik moḌ par
aur phir maiñ ek din terā kahā ho jā.ūñgā
khurdure aur khokhle bargad kā baazū thaam kar
sub.h-e-sīmīñ kā ma.āl-e-tai-shuda ho jā.ūñgā
jab koī jhukne lagegā shaam kī dahlīz par
gumbad-e-mauhūm kā maiñ mubtanā ho jā.ūñgā
phaḌ.phaḌāte dekh kar tāroñ meñ kaftar ko 'nizām'
uñgliyoñ kī uljhanoñ meñ mubtalā ho jā.ūñgā
Top Urdushayar.com