ik saa.eñ saa.eñ ghere hai girte makān ko
aur āñkheñ tāktī haiñ chamaktī chaTān ko
chaḌhte hī mere ho ga.ī dīvār se alag
hasrat se dekhtā huuñ usī nardbāñ ko
andeshe duur duur ke nazdīk kā safar
kashtī ko dekhtā huuñ kabhī bādbān ko
zindān-e-roz-o-shab meñ hai ham sab ko umr-qaid
koī bachā.e aa ke mire ḳhāndān ko
yādoñ ke shor-o-ġhul meñ khaḌī ghar kī ḳhāmoshī
āvāz de rahī hai kisī mehrbān ko
barsoñ se ghūmtā hai isī tarah raat din
lekin zamīn miltī nahīñ āsmān ko