Sheen Kaaf Nizam

purkhon se jo mili hai wo daulat bhi le na jae

Sheen Kaaf Nizam

1947
purkhoñ se jo milī hai vo daulat bhī le na jaa.e
zālim havā-e-shahr hai izzat bhī le na jaa.e
vahshat to sañg-o-ḳhisht kī tartīb le ga.ī
ab fikr ye hai dasht kī vus.at bhī le na jaa.e
pīchhe paḌā hai sab ke jo parchhā.iyoñ kā paap
ham se adāvatoñ kī vo aadat bhī le na jaa.e
āñgan ujaḌ gayā hai to ġham is kā tā-ba-kai
mohtāt rah ki ab ke vo ye chhat bhī le na jaa.e
barbādiyāñ sameTne kā us ko shauq hai
lekin vo un ke naam pe barkat bhī le na jaa.e
aadil hai us ke adl par ham ko yaqīn hai
lekin vo zulm sahne kī himmat bhī le na jaa.e
un sohbatoñ kā zikr to zikr-e-fuzūl hai
Dar hai ki lutf-e-shukr-o-shikāyat bhī le na jaa.e
ḳhud se bhī baḌh ke us pe bharosa na kījiye
vo aa.ina hai dekhiye sūrat bhī le na jaa.e
Top Urdushayar.com