Sheen Kaaf Nizam

mausam-e-gham guzar na jae kahin

Sheen Kaaf Nizam

1947
mausam-e-ġham guzar na jaa.e kahīñ
shab meñ sūraj nikal na aa.e kahīñ
apnī tanhā.iyāñ chhupāne ko
but banā.e sanam girā.e kahīñ
vo sarāpā hai ḳhvāb ḳhushbū kā
jhoñkā jhoñkā bikhar na jaa.e kahīñ
Dar ye kaisā huā safar meñ mujhe
rāsta ḳhatm ho na jaa.e kahīñ
kyā batā.ūñ vo kyuuñ pareshāñ hai
mujh ko DhūñDe kahīñ chhupā.e kahīñ
sab isī dhun meñ bhāge jaate haiñ
koī aage nikal na jaa.e kahīñ
ba.ad muddat ke tū milā hai 'nizām'
Dar hai phir se bichhaḌ na jaa.e kahīñ
Top Urdushayar.com