aarzū thī ek din tujh se milūñ
mil gayā to sochtā huuñ kyā karūñ
jism tū bhī aur maiñ bhī jism huuñ
kis tarah phir terā pairāhan banūñ
rāsta koī kahīñ miltā nahīñ
jism meñ janmoñ se apne qaid huuñ
thī ghuTan pahle bhī par aisī na thī
jī meñ aatā hai ki khiḌkī khol duuñ
ḳhud-kushī ke saiñkaḌoñ andāz haiñ
aarzū hī kā na dāman thaam luuñ
sā.ateñ san.at-garī karne lagīñ
har taraf hai yaad kā gahrā fusūñ