Sheen Kaaf Nizam

mauj-e-hawa to ab ke ajab kaam kar gai

Sheen Kaaf Nizam

1947
mauj-e-havā to ab ke ajab kaam kar ga.ī
uḌte hue parindoñ ke par bhī katar ga.ī
āñkheñ kahīñ dimāġh kahīñ dast o pā kahīñ
rastoñ kī bhīḌ-bhāḌ meñ duniyā bikhar ga.ī
kuchh log dhuup piite haiñ sāhil pe leT kar
tūfān tak agar kabhī is kī ḳhabar ga.ī
nikle kabhī na ghar se magar is ke bāvajūd
apnī tamām umr safar meñ guzar ga.ī
dekhā unheñ to dekhne se jī nahīñ bharā
aur aañkh hai ki kitne hī ḳhvāboñ se bhar ga.ī
jaane havā ne kaan meñ chupke se kyā kahā
kuchh to hai kyuuñ pahāḌ se naddī utar ga.ī
sūraj samajh sakā na ise umr bhar 'nizām'
tahrīr ret par to havā chhoḌ kar ga.ī
Top Urdushayar.com