umr lambī to hai magar baabā
saare manzar haiñ aañkh bhar baabā
zindagī jaan kā zarar baabā
kaise hogī guzar-basar baabā
aur āhista se guzar baabā
sāmne hai abhī safar baabā
tum bhī kab kā fasāna le baiThe
ab vo dīvār hai na dar baabā
bhūle-bisre zamāne yaad aa.e
jaane kyuuñ tum ko dekh kar baabā
haañ havelī thī ik sunā hai yahāñ
ab to baaqī haiñ bas khañDar baabā
raat kī aañkh DabDabā aa.ī
dāstāñ kar na muḳhtasar baabā
har taraf samt hī kā sahrā hai
bhaag kar jā.eñge kidhar baabā
us ko sāloñ se nāpnā kaisā
vo to hai sirf saañs bhar baabā
ho ga.ī raat apne ghar jaao
kyuuñ bhaTakte ho dar-ba-dar baabā
rāsta ye kahīñ nahīñ jaatā
aa ga.e tum idhar kidhar baabā