Sheen Kaaf Nizam

darwaza koi ghar se nikalne ke liye de

Sheen Kaaf Nizam

1947
darvāza koī ghar se nikalne ke liye de
be-ḳhauf koī rāsta chalne ke liye de
āñkhoñ ko atā ḳhvāb kiye shukriya lekin
paikar bhī koī ḳhvāboñ meñ Dhalne ke liye de
paanī kā hī paikar kisī parbat ko atā kar
ik buuñd hī naddī ko uchhalne ke liye de
sahmī huī shāḳhoñ ko zarā sī koī mohlat
sūraj kī savārī ko nigalne ke liye de
sab vaqt kī dīvār se sar phoḌ rahe haiñ
rauzan hī koī bhaag nikalne ke liye de
sailāb meñ saa.at ke mujhe pheñkne vaale
TuuTā huā ik pul hī sambhalne ke liye de
mahfūz jo tartīb-e-anāsir se haiñ asrār
to ḳhol ko ik aañch pighalne ke liye de
taḳh.īl ko taḳhlīq kī taufīq atā kar
phir pahlū se ik chiiz nikalne ke liye de
Top Urdushayar.com