Sheen Kaaf Nizam

mauj-e-hawa se phulon ke chehre utar gae

Sheen Kaaf Nizam

1947
mauj-e-havā se phūloñ ke chehre utar ga.e
gil ho ga.e charāġh gharauñde bikhar ga.e
peḌoñ ko chhoḌ kar jo uḌe un kā zikr kyā
paale hue bhī ġhair kī chhat par utar ga.e
yādoñ kī rut ke aate hī sab ho ga.e hare
ham to samajh rahe the sabhī zaḳhm bhar ga.e
ham jā rahe haiñ TūTte rishtoñ ko joḌne
dīvār-o-dar kī fikr meñ kuchh log ghir ga.e
chalte huoñ ko raah meñ kyā yaad aa gayā
kis kī talab meñ qāfile vaale Thahar ga.e
jo ho sake to ab ke bhī sāgar ko lauT aa
sāhil ke siip svاatī kī būñdoñ se bhar ga.e
ik ek se ye pūchhte phirte haiñ ab 'nizām'
vo ḳhvāb kyā hue vo manāzir kidhar ga.e
Top Urdushayar.com