Mushfiq Khwaja

hujum-e-ham-nafsan chaara-e-alam na hua

Mushfiq Khwaja

Lahore, Punjab, Pakistan

1935-2005
hujūm-e-ham-nafsāñ chāra-e-alam na huā
ki is tarah ġham-e-tanhā-ravī to kam na huā
na pūchh dasht-e-talab meñ matā-e-dāman-e-zīst
ye taar taar to hotā rahā pa nam na huā
likhī ga.ī haiñ junūñ kī hikāyateñ kyā kyā
magar vo qissa-e-ġham jo kabhī raqam na huā
milī na ābla-pāyān-e-shauq ko manzil
ki fāsloñ kī tarah hausla bhī kam na huā
rah-e-talab meñ hai āsūda-hāl mauj-ba-jism
ḳhudā ḳhudā hī rahā aur sanam sanam na huā
vo kaun haiñ ki havas raas aa ga.ī hai jinheñ
yahāñ to ishq bhī chāra-gar-e-alam na huā
gumāñ huā mujhe ehsān-e-nā-shanāsī kā
jo ḳhud-baḳhud koī āmāda-e-sitam na huā
Top Urdushayar.com