Sattar Syed

wahi hai dasht-e-safar rahguzar se aage bhi

Sattar Syed

1949
vahī hai dasht-e-safar rahguzar se aage bhī
vahī ḳhalā hai hudūd-e-nazar se aage bhī
vo āftāb usī sahn meñ muallaq hai
agarche ghar haiñ bahut us ke ghar se aage bhī
hamāre dam se hai qaa.em zamīñ kī zarḳhezī
hamārā faiz hai shāḳh-e-shajar se aage bhī
talāsh-e-nūr meñ ham bārhā nikal aa.e
nazar ke saath hudūd-e-safar se aage bhī
ġhalat umiid na bāñdho nahīf logoñ se
koī uḌā hai bhalā bāl-o-par se aage bhī
yahāñ se lauT chalo jaan kī amaañ chāho
ka.ī tilism haiñ dīvār-o-dar se aage bhī
Top Urdushayar.com