shikoh-e-āb meñ gum the jihat-nishāñ mere
havā ne rakh diye tah kar ke bādbāñ mere
sahar ko saath uḌā le ga.ī sabā jaise
ye kis ne kar diye raste dhuāñ dhuāñ mere
tire ishāra-e-abrū pe rut badaltī hai
bahār hai na tasallut meñ hai ḳhizāñ mere
utarne vaale safīnoñ meñ chhed karte ga.e
Dubo ga.e mujhe sāhil pe mehrbāñ mere
khilā shagūfa-e-ġham shāḳh-e-umr par 'sayyad'
mahak rahe haiñ sar-e-harf jism-o-jāñ mere