lahū meñ phuul khilāne kahāñ se aate haiñ
na.e ḳhayāl na jaane kahāñ se aate haiñ
ye kaun log haiñ har shaam tāq-e-mizhgāñ par
charāġh-e-yād jalāne kahāñ se aate haiñ
ḳhizāñ kī shāḳh meñ hairāñ hai aañkh kī koñpal
palaT ke ahd purāne kahāñ se aate haiñ
samundaroñ ko sikhātā hai kaun tarz-e-ḳhirām
zamīñ kī tah meñ ḳhazāne kahāñ se aate haiñ
zamām-e-abr gurezāñ hai kis ke hāthoñ meñ
muhīt-e-ḳhosha meñ daane kahāñ se aate haiñ
safar-e-nasīb parindo! tumhāre hoñToñ par
ye ḳhush-gavār tarāne kahāñ se aate haiñ
ḳhushī ke ahd chale jaate haiñ kahāñ 'sayyad'
udāsiyoñ ke zamāne kahāñ se aate haiñ