ik rāz-e-dilrubā ko bayāñ honā hai abhī
harf-o-sadā ko sho.ala-ba-jāñ honā hai abhī
jaagī hai dil meñ shahd-e-shahādat kī aarzū
rāh-e-vafā kā sañg-e-nishāñ honā hai abhī
rokā huā hai tum ne havāoñ ko kis liye
is raakh meñ sharar kā gumāñ honā hai abhī
sāñseñ shaboñ kī jaañ kī tanābeñ ukhaḌ ga.iiñ
agle safar pe ham ko ravāñ honā hai abhī
mahsūr hai vo kibr-o-anā ke hisār meñ
us se ta.āruf apnā kahāñ honā hai abhī
ta.abīr kī talāsh meñ phirte haiñ ḳhvāb ḳhvāb
chashm-e-jahāñ pe aks-fashāñ honā hai abhī