yuuñ ehtimām-e-radd-e-sahar kar diyā gayā
har raushnī ko shahr-badar kar diyā gayā
apne gharoñ ke sukh se bhī rū-kash dikhā.ī deñ
logoñ ko mubtalā-e-safar kar diyā gayā
jiinā har ek ke liye mumkin nahīñ rahā
jiine ko ek kār-e-hunar kar diyā gayā
chehroñ se rañg haath se ā.īne chhīn kar
be-chehragī ko raḳht-e-nazar kar diyā gayā
ab jism-o-jāñ pe haqq-e-tasarruf talab kare
zālim ko is qadar to niDar kar diyā gayā
darpai the har shajar ke ta.affun-shi.ār log
mahrūm ḳhushbuoñ se nagar kar diyā gayā
vo qaht-e-ġham paḌā hai ki ik Tiis ke liye
ahl-e-karam kā dast-e-nigar kar diyā gayā