Mushfiq Khwaja

naqsh guzre hue lamhon ke hain dil par kya kya

Mushfiq Khwaja

Lahore, Punjab, Pakistan

1935-2005
naqsh guzre hue lamhoñ ke haiñ dil par kyā kyā
muḌ ke dekhūñ to nazar aate haiñ manzar kyā kyā
kitne chehroñ pe rahe aks mirī hairat ke
mehrbāñ mujh pe hue ā.īna-paikar kyā kyā
vaqt kaTtā rahā mai-ḳhāne kī rātoñ kī tarah
rahe gardish meñ ye din raat ke sāġhar kyā kyā
chashm-e-ḳhūbāñ ke ishāroñ pe thā jiinā marnā
roz bante the bigaḌte the muqaddar kyā kyā
paañv uThte the usī manzil-e-vahshat kī taraf
raah takte the jahāñ raah ke patthar kyā kyā
rahguzar dil kī na pal-bhar ko bhī sunsān huī
qāfile ġham ke guzarte rahe aksar kyā kyā
āzrāna the mirī vahshat-e-dil ke sab rañg
shaam se sub.h talak Dhalte the paikar kyā kyā
aur ab haal hai ye ḳhud se jo miltā huuñ kabhī
khol detā huuñ shikāyāt ke daftar kyā kyā
Top Urdushayar.com