shahar-e-ġhaflat ke makīñ vaise to kab jāgte haiñ
ek andesha-e-shabḳhūñ hai ki sab jāgte haiñ
shāyad ab ḳhatm huā chāhtā hai ahd-e-sukūt
harf-e-e.ajāz kī tāsīr se lab jāgte haiñ
rāh-e-gum-karda-e-manzil haiñ ki manzil kā surāġh
kuchh sitāre jo sar-e-qarya-e-shab jāgte haiñ
aks in ā.ankhoñ se vo mahv hue jo ab tak
ḳhvāb kī misl pas-e-chashm-e-talab jāgte haiñ
harf-e-ḳhufta kī tarah chashm-e-taġhāful ke bhī
ba.az auqāt to mafhūm ajab jāgte haiñ
sahm jaate haiñ muñDeroñ pe kabūtar 'sayyad'
rāste beḌiyoñ kī chaap se jab jāgte haiñ