chamke duurī meñ kuchh aks nishānoñ ke
terī aañkh meñ ḳhvāb-e-jamīl jahānoñ ke
utre aañkh meñ harf sunahre manzar ke
jaage dil meñ shauq basīt uḌānoñ ke
khule hue darvāze shahar kī āñkheñ haiñ
jin meñ bhed ka.ī mahjūr zamānoñ ke
kab ban-bās kaTe is shahar ke logoñ kā
qufl khuleñ kab jaane band makānoñ ke
ek fasīl khiñchī hai dil meñ duurī kī
jis ke paar haiñ raste dard-ḳhazānoñ ke
vo jo raat ko din se badalte rahte the
miT ga.e dil se naqsh aise armānoñ ke