Mushfiq Khwaja

ye kya zarur hamin ko wo aazmaega

Mushfiq Khwaja

Lahore, Punjab, Pakistan

1935-2005
ye kyā zarūr hamīñ ko vo āzmā.egā
har aane vaalā muqaddar bhī saath lā.egā
kise ḳhabar hai ki is tīra-ḳhāk-dāñ ke liye
hai ek dil hī to raushan so Duub jā.egā
khule darīchoñ se yuuñ jhāñktī hai māyūsī
ki jaise ab koī jhoñkā idhar na aa.egā
udaas raat kī sargoshiyoñ ke ba.ad agar
sahar jo aa.ī to kis ko yaqīn aa.egā
maiñ jis ke maazī kā ik lamha-e-gurezāñ huuñ
ye dekhnā hai vo kaise mujhe bhulā.egā
hazār ḳhvāb haiñ in ḳhud-fareb āñkhoñ meñ
bichhaḌ ke bhī vo yahāñ se kahīñ na jā.egā
ye din bhī aa ga.e ab apne dil pe biitī huī
maiñ ḳhud kahūñgā mujhī ko yaqīñ na aa.egā
Top Urdushayar.com