Osaama ameer

zamin pe baiTh ke be-iKHtiyar DhunDhta hun

Osaama ameer

1998
zamīñ pe baiTh ke be-iḳhtiyār DhūñDhtā huuñ
maiñ āsmān kā gard-o-ġhubār DhūñDhtā huuñ
mujhe pata hai kisī meñ ye shai nahīñ maujūd
har ek shaḳhs meñ kyuuñ e'tibār DhūñDhtā huuñ
akelā baiTh ke masjid ke ek kone meñ
kamāl kartā huuñ parvardigār DhūñDhtā huuñ
ki aa.ine meñ ka.ī ā.īne kiye taḳhlīq
so ek chehre meñ chehre hazār DhūñDhtā huuñ
tumhārī yaad to rakkhī hai jeb meñ maiñ ne
ye kyuuñ idhar se udhar baar baar DhūñDhtā huuñ
maiñ aise ālam-e-vahshat meñ huuñ ki tanhā.ī
pukārtī hai mujhe maiñ pukār DhūñDhtā huuñ
mire liye to ḳhat-e-intizār khīñchtī hai
tire liye maiñ ḳhat-e-intizār DhūñDhtā huuñ
Top Urdushayar.com