Osaama ameer

maine sun rakkhi hai sahab ek kahani dariya ki

Osaama ameer

1998
maiñ ne sun rakkhī hai sāhab ek kahānī dariyā kī
shaam kināre baiTh ke ik din vo bhī zabānī dariyā kī
varna ham bhī ā.īne ke bhed se vāqif ho jaate
ham ne apnī man-mānī kī ek na maanī dariyā kī
ret ke chhoTe TukḌe par hī ābādī maqsūd huī
usī bahāne chāroñ jānib hai sultānī dariyā kī
āñkheñ hī iz.hār kareñ to shāyad koī baat bane
sūraj Dhalte vaqt jo dekhī thī vīrānī dariyā kī
sub.h-e-azal se ek hī jaise milte julte dariyā haiñ
kis ne dekhī kis ne jaanī shakl purānī dariyā kī
sāt-samundar dekhne lag ga.e apne buḌhāpe kī jhuriyāñ
apne joban par jab aa.ī shoḳh javānī dariyā kī
Top Urdushayar.com