ye koī dil to nahīñ hai ki Thahar jā.egā
vaqt ik ḳhvāb-e-ravāñ hai so guzar jā.egā
har guzarte hue lamhe se yahī ḳhauf rahā
hasratoñ se mire dāman ko ye bhar jā.egā
dil shafaq-rañg huā Dūbte sūraj kī tarah
raat aa.egī to har ḳhvāb bikhar jā.egā
shiddat-e-ġham se milā ziist ko mafhūm nayā
ham samajhte the ki dil jiine se bhar jā.egā
chand lamhoñ kī rifāqat hī ġhanīmat hai ki phir
chand lamhoñ meñ ye shīrāza bikhar jā.egā
apnī yādoñ ko sameTeñge bichhaḌne vaale
kise ma.alūm hai phir kaun kidhar jā.egā
yādeñ rah jā.eñgī aur yādeñ bhī aisī jin kā
zahr ā.ankhoñ se rag-o-pai meñ utar jā.egā