Osaama ameer

jab raushni chamki to uThaya sar-e-sahil

Osaama ameer

1998
jab raushnī chamkī to uThāyā sar-e-sāhil
miTTī ke pyāle meñ thā sonā sar-e-sāhil
paanī pe makāñ jaise makīñ aur kahīñ ġham
kuchh aise nazar aa.ī thī duniyā sar-e-sāhil
jab tai ho mulāqāt us āshufta-sarī se
tum aur hī kuchh rañg pahannā sar-e-sāhil
kashtī meñ nazar aa.ī thī jannat kī tajallī
patvār uThāte hī maiñ bhāgā sar sāhil
ab qaum utāre koī siine pe hamāre
pahle to utārā thā sahīfa sar-e-sāhil
maiñ haath baḌhātā to bhalā kaise baḌhātā
tasvīr meñ the sāġhar-o-mīnā sar-e-sāhil
ham log karachi ke ajab log haiñ sāhab
khānā hai samundar meñ to piinā sar-e-sāhil
Top Urdushayar.com