Osaama ameer

bazar-e-kainat mein ye faisla hua

Osaama ameer

1998
bāzār-e-kā.ināt meñ ye faisla huā
yārān-e-ḳhush-adā ho tamasḳhur ravā huā
bijlī kaḌak rahī thī ajab ehtimām se
bachcha duā.eñ maañg rahā thā Darā huā
vahshat nahīñ junūn nahīñ phir bhī iztirāb
nau-vāridān-e-ishq huā so to kyā huā
aa.ī thī dasht-e-qais meñ rusvā huī chalī
āvārgī ke saath bhī kitnā burā havā
maiñ shor karne vaale qabīle kā fard thā
par boltā nahīñ thā jabhī to ḳhudā huā
māhaul ḳhush-gavār havā bhī thī tāza-dam
ik phuul dast-e-shāḳh pe naġhma-sarā huā
terī hī guftugū se kiyā paidā ik ḳhayāl
phir sher kahne lag gayā lahja nayā huā
kal raat ma.arka thā ajab darmiyān kā
merī to yaar ḳhair hai duniyā kā kyā huā
Top Urdushayar.com