apne tasavvurāt se aage nikal gayā
kal shab meñ kā.enāt se aage nikal gayā
sūraj ko dekhne ke liye maiñ dam-e-sahar
be-iḳhtiyār raat se aage nikal gayā
vo pattharoñ ko karne lagā ā.īna-sifat
maiñ had-e-mumkināt se aage nikal gayā
manzar bahut khule mirī āñkhoñ ke sāmne
lekin maiñ vāqi.āt se aage nikal gayā
maiñ haañ aur ik nahīñ ke abhī darmiyān huuñ
merā vajūd zaat se aage nikal gayā