Osaama ameer

ajab aahang tha us shor mein bhi KHarch hui

Osaama ameer

1998
ajab āhañg thā us shor meñ bhī ḳharch huī
merī āvāz-e-sukūt-e-ajabī ḳharch huī
ek hī aan meñ dīdār huā baat huī
ḳhvāhish-e-vasl sar-e-tūr sabhī ḳharch huī
zindagī tere ta.āqub meñ guzārī huī shab
baḌī mushkil se milī aur yūñhī ḳharch huī
sub.h tak zulf-e-siyah-rañg kā jaadū thā ajab
raat botal meñ thī jitnī bhī bachī ḳharch huī
sub.h uThte hī maiñ kuchh dhuup bharuñgā in meñ
ḳhvāb dekheñ haiñ to āñkhoñ kī namī ḳharch huī
kitnī tah-dār ḳhalā hai ye ḳhalā ke andar
āsmāñ dekh ke nūr-e-nazarī ḳharch huī
kyā hī achchhī thī kalā.ī meñ bañdhī rahtī thī
vaqt ko dekhte rahne se ghaḌī ḳharch huī
baḌī vīrānī sar-e-kūcha-e-zulmat hai nasīb
aap aa.e haiñ to thoḌī hī sahī ḳharch huī
Top Urdushayar.com