bas ek vaqt kā ḳhanjar mirī talāsh meñ hai
jo roz bhes badal kar mirī talāsh meñ hai
ye aur baat ki pahchāntā nahīñ hai mujhe
sunā hai ek sitamgar mirī talāsh meñ hai
adhūre ḳhvāboñ se uktā ke jis ko chhoḌ diyā
shikan-nasīb vo bistar mirī talāsh meñ hai
ye mere ghar kī udāsī hai aur kuchh bhī nahīñ
diyā jalā.e jo dar par mirī talāsh meñ hai
aziiz huuñ maiñ mujhe kis qadar ki har ik ġham
tirī nigāh bachā kar mirī talāsh meñ hai
maiñ ek qatra huuñ merā alag vajūd to hai
huā kare jo samundar mirī talāsh meñ hai
vo ek saaya hai apnā ho yā parāyā ho
janam janam se barābar mirī talāsh meñ hai
maiñ devtā kī tarah qaid apne mandir meñ
vo mere jism se bāhar merī talāsh meñ hai
maiñ jis ke haath meñ ik phuul de ke aayā thā
usī ke haath kā patthar merī talāsh meñ hai
vo jis ḳhulūs kī shiddat ne maar Daalā 'nūr'
vahī ḳhulūs muqarrar mirī talāsh meñ hai