kitāb-e-zindagī kī jadvaloñ meñ rañg ham se hai
sahīfa aarzū kā sar-ba-sar arzhañg ham se hai
dil-e-shabnam pe rakkhā hai hamīñ ne dast-e-ġham-ḳhvārī
darūñ-bīnī harīf-e-afsar-o-aurañg ham se hai
hamāre hausloñ se nuur le le gulsitāñ jab tak
sahar kā qāfila pīchhe ka.ī farsañg ham se hai
ulajhtā hai ba-zāhir har chaman se har ḳharābe se
magar dar-parda tūfān-e-balā kī jañg ham se hai
tasādum kī bhī jur.at TūTne kī bhī hameñ himmat
vaqār-e-shīsha ham se hai ayār-e-sañg ham se hai
ḳhizāñ meñ bhī rahā 'kausar' shagufta hausla apnā
bahār-e-naġhma sāz-e-dard kā āhañg ham se hai