yād-e-ayyāme koī vaj.h-e-pareshānī to thī
aañkh yuuñ ḳhālī nahīñ thī is meñ hairānī to thī
lab pe mohr-e-ḳhāmushī pahle bhī lagtī thī magar
aah kī ruḳhsat to thī ashkoñ kī arzānī to thī
thī nazar ke sāmne kuchh to talāfī kī umiid
khet sūkhā thā magar dariyā meñ tuġhyānī to thī
bazm se uTThe to kyā ḳhalvat meñ jā baiThe to kyā
tark-e-duniyā par bhī duniyā jānī-pahchānī to thī
dard ik jauhar hai paikar se ġharaz rakhtā nahīñ
aañkh meñ aañsū na the lab par ġhazal-ḳhvānī to thī