suno to zarā ye āḳhir-e-shab nafīr-e-duā ajiib sī hai
zamān-o-makāñ pe chhā.ī huī junūñ kī navā ajiib sī hai
nizām nayā shu.ūr nayā misāl-e-atā ajiib sī hai
savāl pe haath kāTte haiñ talab kī sazā ajiib sī hai
jigar pe har ik sinān-e-nazar jo sahte hue guzar ga.e ham
javāb meñ ab harīfoñ kī shikast-e-anā ajiib sī hai
ye pās-e-bahār ashk piye jo dard baḌhā to sher kahe
batā.eñ kise hamārī tabāhiyoñ kī adā ajiib sī hai
utar ga.e chehre gardishoñ ke laraz ga.ī jaan fāsloñ kī
shikasta diloñ ke qāfile meñ fuġhān-e-darā ajiib sī hai
zamāne ke sard-o-garm se kab milī hai amaañ mujhe 'kausar'
vajūd-e-nafas ko baḳhshī huī karam kī qabā ajiib sī hai