Kausar Jayasi

nuqush-e-umr-e-guzishta sameT late hain

Kausar Jayasi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1916
nuqūsh-e-umr-e-guzishta sameT laate haiñ
ye rañg rañg ke bādal kahāñ se aate haiñ
kabhī kabhī safar-e-zindagī se ruuTh ke ham
tire ḳhayāl ke saa.e meñ baiTh jaate haiñ
tasavvurāt ke hasrat-kade meñ kaun aayā
charāġh tā-had-e-ehsās jalte jaate haiñ
hameñ hai Dar koī tār-e-umīd TuuT na jaa.e
sambhal sambhal ke unheñ hāl-e-dil sunāte haiñ
banā ga.e haiñ vo yuuñ sāz-e-ārzū ghar ko
ki aaj tak dar-o-dīvār gungunāte haiñ
unhīñ se hai mire ashkoñ kī aabrū 'kausar'
jo āb-o-rañg-e-ġhazal ko ġhazal banāte haiñ
Top Urdushayar.com