ġham nairañg dikhātā hai hastī kī jalva-numā.ī kā
kitne zamānoñ kā hāsil hai ik lamha tanhā.ī kā
tere nāzuk lab haiñ goyā mausam kā mauzū-e-suḳhan
gulshan gulshan shohra hai shādābī kā ra.anā.ī kā
apne ġham kī fikr na kī is duniyā kī ġham-ḳhvārī meñ
barsoñ ham ne dast-e-junūñ se kaam liyā dānā.ī kā
aalam ke har manzar ko kuchh rañg na.e mil jaate haiñ
kirneñ sub.h kī le jaatī haiñ ruup tirī añgḌā.ī kā
sāhil o tūfāñ ke afsāne rañg-e-haqīqat kyā deñge
Duub ke ubhro to irfāñ ho dariyā kī gahrā.ī kā
dil meñ 'kausar' aa.e kitne daur taġhayyur ke lekin
naqsh-e-tamannā par jab dekho aalam hai barnā.ī kā